
Ek baar haar kar toh dekho...
Arey kisi ne mera kaam dekha hi nahi toh?
Arey par log hi nai aaye toh?
Arey par main haar gaya toh?
Arey par main kar hi nai payi toh?
Darr lagta hai yaar…..
Arey mat aane do logon ko
Ek baar haar kar toh dekho
Ek baar sab gavakar toh dekho
Bachpan se bas yehi sunte aaye hai ki ‘baccho tumhe bade hokar sabko karna hai impress’
Lekin hame kya pata tha ki likes, comments na milne par sab hojayenge depress?
Yeh kyu nahi sikhaya ki haarne ka bhi alag hi maza hai,
Haarne par hi toh ayega josh,
Itni jaan lagakar mehanat karenge
Ki khud ko hi na rahega hosh
Har maa baap aur sikhshak ko yehi kehna chaiye…’Jaa bete jaa jee le apni zindagi’,
Hume kabhi na hogi tujh par sharmindagi
Haarne our jeetne se zyada zaruri hai siksha
Taaki tum hamesha NIDAR raho chaahe kabhi bhi ajaaye koi kathin pariksha!