top of page

Ajeeb si hai yeh Zindagi
#simishblogs
​
Ajeeb si hai na yeh zindagi?
Kabhi hasati hai, kabhi rulaati hai
Lekin jeena zaroor sikhati hai
​
Yeh kaam woh kaam bas sara din kaam kaam kaam
Arey thoda toh aaram karne do yaar
Lekin kya karein kambakth zindagi hosla dila hi deti hai bar bar
​
Kabhi jhagadte hai
Aur apna haqq maangne ke liye taraste hai
Lekin mushkil aane par jab sab ikatha hokar prarthna karte hai tabhi baadal bhi toh baraste hai
​
Kabhi kabhi lagta hai kya pata kal ho ya na ho
Magar dosto yeh zindagi toh daubara milne se rahi
Bas kuch aisa karke jana ki har ek ke zubaan par bas tumhara hi naam ho bas tumhara hi naam ho.
bottom of page